Friday, 19 July 2013

Khayaal

Zehen mai khayaal ik aaya  tha raat mai
kyun mayusi ney hai ghera mujhko is kadar
kyun samjhti hun khudko mai tanha bhari bheed mai
kyun khamosh ho rahin hai meri baatein yunhi aksar

Samajh nahi hai khushiyan sametney ki mujhko
ya ki kumzaraf ho gayi hai meri nazar
tabhi tou khwaab choad gayey hain galiyan meri nazar ki
tabhi tou rehmaton mai bacha nahi abb asar

khwaab toota jab tou khul gayi choukhatein sabhi
aasman dikha khada bahein failaye apni
samjh gayi usi pal uska ishara tha yeh meri aaur
banna padta hai aasmaan jo chahiye rabb ki rehm

Bennyanil

No comments:

Post a Comment